Friday, July 30, 2010

Zindagi Ke Har Kadam Par Ek Saath Ki Zaroorat Hoti Hai
Rishton Ko Lamhon Ki Hi Nahin Waqt Ki Bhi Zaroorat Hoti Hai

Kaun Kehta Hai Yahan Log Nahin Milte Apne
Thoda Intezaar Kijiye Bas Chand Mulaqat Ki Zaroorat Hoti Hai
...
Ek Sach To Yeh Bhi Hai Ki Unhein Waqt Hi Kahan Mila
Ya Shayad Unhonein Jana Hi Nahin Ki Kahin Kuch Faaslon Ki Zaroorat Hoti Hai

Shayri Koi Bhi Ho Usmein Mohabbat Chuppi Hoti Hai
Bas Kabhi Izhaar Mein Bewafai Ki Zaroorat Hoti Hai

-------------------------------------------------------------------------------------------

Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.

-------------------------------------------------------------------------------------------

Teri dosti ki taarif zubaan pe aane lagi,
Tumse dosti ki or zindagi muskuranea lagi,
Ye meri dosti thi ya teri aachahai,
ke meri har saas se tere liye dua aane lage



Thursday, July 08, 2010

Silence is sometimes unbearable. Chaos is sometimes comforting.